jab sabne
pakdaya mujhe kela,
tune kaha,
nahin tu akela...
ab tu hi neev,
tu hi sameep,
tu hi dikhaaye,
khushiyon ka dweep...
teri laar se
jo chehra bheega,
mila mujhe
Chain ka teela.
Bana raha main,
phir se ab,
Himmat ka kila.
"Arey kya hi hai ye,
dhool se sana,
Oopar-neeche karti
lifts ki quaid mein bana,
Rail ki patriyon
ke chaaron ore jamaa,
Kumbh ka Mela...!"
chal,
chalte hain,
samandar ko yaar,
phenkne,
lehron pe dhela...