Manifesto
Kalam nazar maangti hai,
Nokh haath thaamti hai,
Zindagi pannon pe gir ke phir,
Apne wajood se rehem maangti hai.
Chalo na, likhein kuchh bawaal,
Chaal-dhaal, be-malaal...
Kuchh aisa, jiske sunne se,
dheh jaaye har sawaal.
Chalo na, likhein kuchh bawaal.
Kuchh aisa, jiske bunne se,
yaadon ki ungliyon se phisalti
alfaazon ka yeh registaan,
Ban jaaye phir se Nainitaal,
Jahaan khincha chala aaaye
Kashmir se Kanyakumaari tak ka,
Gujarat se Meghalaya tak ka,
Har boodha, adhed, jawaan,
har kamra, har jhuggi,
har banglaa, har makaan.
Chalo na, likhein kuchh bawaal.
Jo gudguda na sake,
Ye de na sake ek marod,
woh likhaayi hai bejaan,
le chalo ussey kabristaan.
Chalo na, likhein kuchh bawaal.
Koshish toh karein,
Ki gulzaar ko bhi aaye,
hum pe naaz...
Jo hum nahin, toh sood samet,
kaun chukaayega kaainaat ko,
Jazbaaton ka, haraaraton ka,
Ratt-jage khayaalon ka,
Syaahi ke niwaalon ka,
Akelepan ke hawaalon ka
woh saara udhaar...
Jisse har kissa, har gaana,
har sher, har taraana,
banaata hai anjaanon ko,
tthahaakon ko,
tik-tiki baandhe nigaahon ko,
Thoda aur dostaana yaar.
Chalo na, likhein kuchh bawaal,
Chaal-dhaal, be-malaal,
Chalo na, likhein kuchh bawaal.


