Hindi Writer Ko
Angrezi Mein Likhwaya,
Uska Mazaak udaaya...
Kaha Jo tu English bhi
Nahin Likh Paaya,
Soch le...
Future mein,
Tera kya hoga, Bhaaya...!
Par humne bhi,
Poora zor lagaaya,
Garda Udaaya...
Likha best se best,
Jo apni, kabiliyat ko aaya...
Client ko toh
bada maza aaya...
Kya pata, kisi din,
English mein likhe
Real work ke liye...
Rani banke,
Cannes le jaaye,
yeh Hindi likhne wala Pyaada...!